dil ki ek harf-o-hikayat hai ye bhi na sahi
dil kī ik harf-o-hikāyāt hai ye bhī na sahī
gar mirī baat meñ kuchh baat hai ye bhī na sahī
iid ko bhī vo nahīñ milte haiñ mujh se na mileñ
ik baras din kī mulāqāt hai ye bhī na sahī
dil meñ jo kuchh hai tumhāre nahīñ pinhāñ mujh se
zāhirī lutf o mudārāt hai ye bhī na sahī
zindagī hijr meñ bhī yuuñ hī guzar jā.egī
vasl kī ek hī gar raat hai ye bhī na sahī
merī turbat pe lagāte nahīñ Thokar na lagāo
ye hī bas un kī karāmāt hai ye bhī na sahī
kaaT sakte haiñ galā ḳhud bhī na kiije hameñ qatl
aap ke haath meñ ik baat hai ye bhī na sahī
qatl-e-qāsid pe kamar bāñdhī hai 'shola' us ne
ḳhat kitābat kī mulāqāt hai ye bhī na sahī
dil ki ek harf-o-hikayat hai ye bhi na sahi
gar meri baat mein kuchh baat hai ye bhi na sahi
id ko bhi wo nahin milte hain mujh se na milen
ek baras din ki mulaqat hai ye bhi na sahi
dil mein jo kuchh hai tumhaare nahin pinhan mujh se
zahiri lutf o mudaraat hai ye bhi na sahi
zindagi hijr mein bhi yun hi guzar jaegi
wasl ki ek hi gar raat hai ye bhi na sahi
meri turbat pe lagate nahin Thokar na lagao
ye hi bas un ki karamat hai ye bhi na sahi
kaT sakte hain gala KHud bhi na kije hamein qatl
aap ke hath mein ek baat hai ye bhi na sahi
qatl-e-qasid pe kamar bandhi hai 'shola' us ne
KHat kitabat ki mulaqat hai ye bhi na sahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.