dil ke bahlane ki tadbir to hai
dil ke bahlāne kī tadbīr to hai
tū nahīñ hai tirī tasvīr to hai
ham-safar chhoḌ ga.e mujh ko to kyā
saath mere mirī taqdīr to hai
qaid se chhūT ke bhī kyā paayā
aaj bhī paañv meñ zanjīr to hai
kyā majāl un kī na deñ ḳhat kā javāb
baat kuchh bā.is-e-tāḳhīr to hai
pursish-e-hāl ko vo aa hī ga.e
kuchh bhī ho ishq meñ tāsīr to hai
ġham kī duniyā rahe ābād 'shakīl'
muflisī meñ koī jāgīr to hai
dil ke bahlane ki tadbir to hai
tu nahin hai teri taswir to hai
ham-safar chhoD gae mujh ko to kya
sath mere meri taqdir to hai
qaid se chhuT ke bhi kya paya
aaj bhi panw mein zanjir to hai
kya majal un ki na den KHat ka jawab
baat kuchh bais-e-taKHir to hai
pursish-e-haal ko wo aa hi gae
kuchh bhi ho ishq mein tasir to hai
gham ki duniya rahe aabaad 'shakil'
muflisi mein koi jagir to hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.