dil baham pahuncha badan mein tab se sara tan jala
dil baham pahuñchā badan meñ tab se saarā tan jalā
aa paḌī ye aisī chingārī ki pairāhan jalā
sarkashī hī hai jo dikhlātī hai is majlis meñ daaġh
ho sake to sham.a saañ diije rag-e-gardan jalā
badr saañ ab āḳhir āḳhir chhā ga.ī mujh par ye aag
varna pahle thā mirā juuñ maah nau dāman jalā
kab talak dhūnī lagā.e jogiyoñ kī sī rahūñ
baiThe baiThe dar pe tere to mirā aasan jalā
garmī us ātish ke par kaale se rakhe chashm tab
jab koī merī tarah se deve sab tan man jalā
ho jo minnat se to kyā vo shab nashīnī baaġh kī
kaaT apnī raat ko ḳhār-o-ḳhas-e-gulḳhan jalā
sūkhte hī āñsuoñ ke nuur āñkhoñ kā gayā
bujh hī jaate haiñ diye jis vaqt sab roġhan jalā
sho.ala afshānī nahīñ ye kuchh na.ī is aah se
duuñ lagī hai aisī aisī bhī ki saarā ban jalā
aag sī ik dil meñ sulge hai kabhū bhaḌkī to 'mīr'
degī merī haDDiyoñ kā Dher juuñ īñdhan jalā
dil baham pahuncha badan mein tab se sara tan jala
aa paDi ye aisi chingari ki pairahan jala
sarkashi hi hai jo dikhlati hai is majlis mein dagh
ho sake to shama san dije rag-e-gardan jala
badr san ab aaKHir aaKHir chha gai mujh par ye aag
warna pahle tha mera jun mah nau daman jala
kab talak dhuni lagae jogiyon ki si rahun
baiThe baiThe dar pe tere to mera aasan jala
garmi us aatish ke par kale se rakhe chashm tab
jab koi meri tarah se dewe sab tan man jala
ho jo minnat se to kya wo shab nashini bagh ki
kaT apni raat ko KHar-o-KHas-e-gulKHan jala
sukhte hi aansuon ke nur aankhon ka gaya
bujh hi jate hain diye jis waqt sab roghan jala
shoala afshani nahin ye kuchh nai is aah se
dun lagi hai aisi aisi bhi ki sara ban jala
aag si ek dil mein sulge hai kabhu bhaDki to 'mir'
degi meri haDDiyon ka Dher jun indhan jala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.