dhup ne guzarish ki
dhuup ne guzārish kī
ek buuñd bārish kī
lo gale paḌe kāñTe
kyuuñ guloñ kī ḳhvāhish kī
jagmagā uThe taare
baat thī numā.ish kī
ik patiñgā ujrat thī
chhipkilī kī jumbish kī
ham tavaqqo rakhte haiñ
aur vo bhī baḳhshish kī
lutf aa gayā 'alvī'
vaah ḳhuub koshish kī
dhup ne guzarish ki
ek bund barish ki
lo gale paDe kanTe
kyun gulon ki KHwahish ki
jagmaga uThe tare
baat thi numaish ki
ek patinga ujrat thi
chhipkili ki jumbish ki
hum tawaqqo rakhte hain
aur wo bhi baKHshish ki
lutf aa gaya 'alwi'
wah KHub koshish ki
- Book : Lifaafe Mein Raushni (Pg. 86)
- Author :Mohammad Alvi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.