der tak raushni rahi kal raat
der tak raushnī rahī kal raat
maiñ ne oḌhī thī chāñdnī kal raat
ek muddat ke ba.ad dhund chhuTTī
dil ne apnī kahī sunī kal raat
uñgliyāñ āsmān chhūtī thiiñ
haañ mirī dastaras meñ thī kal raat
uThtā jaatā thā parda-e-nisyāñ
ek ik baat yaad thī kal raat
tāq-e-dil pe thī ghuñgrūoñ kī sadā
ik jhaḌī sī lagī rahī kal raat
jugnuoñ ke se lamhe uḌte the
merī muTThī meñ aa ga.ī kal raat
der tak raushni rahi kal raat
main ne oDhi thi chandni kal raat
ek muddat ke baad dhund chhuTTi
dil ne apni kahi suni kal raat
ungliyan aasman chhuti thin
han meri dastaras mein thi kal raat
uThta jata tha parda-e-nisyan
ek ek baat yaad thi kal raat
taq-e-dil pe thi ghungruon ki sada
ek jhaDi si lagi rahi kal raat
jugnuon ke se lamhe uDte the
meri muTThi mein aa gai kal raat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.