dekha to tha yunhi kisi ghaflat-shiar ne
dekhā to thā yūñhī kisī ġhaflat-shi.ār ne
dīvāna kar diyā dil-e-be-iḳhtiyār ne
ai aarzū ke dhundle ḳharābo javāb do
phir kis kī yaad aa.ī thī mujh ko pukārne
tujh ko ḳhabar nahīñ magar ik sāda-lauh ko
barbād kar diyā tire do din ke pyaar ne
maiñ aur tum se tark-e-mohabbat kī aarzū
dīvāna kar diyā hai ġham-e-rozgār ne
ab ai dil-e-tabāh tirā kyā ḳhayāl hai
ham to chale the kākul-e-gītī sañvārne
dekha to tha yunhi kisi ghaflat-shiar ne
diwana kar diya dil-e-be-iKHtiyar ne
ai aarzu ke dhundle KHarabo jawab do
phir kis ki yaad aai thi mujh ko pukarne
tujh ko KHabar nahin magar ek sada-lauh ko
barbaad kar diya tere do din ke pyar ne
main aur tum se tark-e-mohabbat ki aarzu
diwana kar diya hai gham-e-rozgar ne
ab ai dil-e-tabah tera kya KHayal hai
hum to chale the kakul-e-giti sanwarne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.