dekha jo us taraf to badan par nazar gai
dekhā jo us taraf to badan par nazar ga.ī
ik aag thī jo mere piyāle meñ bhar ga.ī
un rāstoñ meñ nām-o-nasab kā nishāñ na thā
hañgāma-e-bahār meñ ḳhilqat jidhar ga.ī
ik dāstān ab bhī sunāte haiñ farsh o baam
vo kaun thī jo raqs ke aalam meñ mar ga.ī
itnā qarīb pā ke use dam-ba-ḳhud thā maiñ
aisā lagā zamīn kī gardish Thahar ga.ī
dekha jo us taraf to badan par nazar gai
ek aag thi jo mere piyale mein bhar gai
un raston mein nam-o-nasab ka nishan na tha
hangama-e-bahaar mein KHilqat jidhar gai
ek dastan ab bhi sunate hain farsh o baam
wo kaun thi jo raqs ke aalam mein mar gai
itna qarib pa ke use dam-ba-KHud tha main
aisa laga zamin ki gardish Thahar gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.