Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dekh hamari did ke karan kaisa qabil-e-did hua

Ibn e Insha

dekh hamari did ke karan kaisa qabil-e-did hua

Ibn e Insha

MORE BYIbn e Insha

    dekh hamārī diid ke kāran kaisā qābil-e-dīd huā

    ek sitāra baiThe baiThe tābish meñ ḳhurshīd huā

    aaj to jaanī rasta takte shaam chāñd padīd huā

    ne to inkār kiyā thā dil kab nā-ummīd huā

    aan ke is bīmār ko dekhe tujh ko bhī taufīq huī

    lab par us ke naam thā terā jab bhī dard shadīd huā

    haañ us ne jhalkī dikhlā.ī ek pal ko darīche meñ

    jaano ik bijlī lahrā.ī aalam ek shahīd huā

    ne ham se kalām bhī chhoḌā arz-e-vafā ke sunte

    pahle kaun qarīb thā ham se ab to aur ba.iid huā

    duniyā ke sab kāraj chhoḌe naam pe tere 'inshā' ne

    aur use kyā thoḌe ġham the terā ishq mazīd huā

    dekh hamari did ke karan kaisa qabil-e-did hua

    ek sitara baiThe baiThe tabish mein KHurshid hua

    aaj to jaani rasta takte sham ka chand padid hua

    tu ne to inkar kiya tha dil kab na-ummid hua

    aan ke is bimar ko dekhe tujh ko bhi taufiq hui

    lab par us ke nam tha tera jab bhi dard shadid hua

    han us ne jhalki dikhlai ek hi pal ko dariche mein

    jaano ek bijli lahrai aalam ek shahid hua

    tu ne hum se kalam bhi chhoDa arz-e-wafa ke sunte hi

    pahle kaun qarib tha hum se ab to aur baid hua

    duniya ke sab karaj chhoDe nam pe tere 'insha' ne

    aur use kya thoDe gham the tera ishq mazid hua

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    dekh hamari did ke karan kaisa qabil-e-did hua Nomaan Shauque

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now