dawa koi kya kaam likhun
davā koī kyā kaam likhūñ
nusḳhe meñ ārām likhūñ
sūraj ko marte dekhūñ
vaqt barābar shaam likhūñ
do-nālī bandūq chalā.ūñ
jañgal meñ kohrām likhūñ
dhanda karūñ namāzoñ kā
peshānī par daam likhūñ
āsmān par jā pahuñchūñ
allāh terā naam likhūñ
'alvī' aap ke khāte meñ
aaj kī shab ke jaam likhūñ
dawa koi kya kaam likhun
nusKHe mein aaram likhun
suraj ko marte dekhun
waqt barabar sham likhun
do-nali banduq chalaun
jangal mein kohram likhun
dhanda karun namazon ka
peshani par dam likhun
aasman par ja pahunchun
allah tera nam likhun
'alwi' aap ke khate mein
aaj ki shab ke jam likhun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.