daulat hai baDi chiz hukumat hai baDi chiz
daulat hai baḌī chiiz hukūmat hai baḌī chiiz
in sab se bashar ke liye izzat hai baḌī chiiz
jab zikr kiyā maiñ ne kabhī vasl kā un se
vo kahne lage paak mohabbat hai baḌī chiiz
bas aap ke nazdīk to ai hazrat-e-vā.iz
aayat hai baḌī chiiz rivāyat hai baḌī chiiz
puurī na agar ho to koī chiiz nahīñ hai
nikle jo mire dil se to hasrat hai baḌī chiiz
ai 'nūh' na tum us ko hasīnoñ meñ gañvāo
ye ḳhuub samajh lo ki riyāsat hai baḌī chiiz
daulat hai baDi chiz hukumat hai baDi chiz
in sab se bashar ke liye izzat hai baDi chiz
jab zikr kiya main ne kabhi wasl ka un se
wo kahne lage pak mohabbat hai baDi chiz
bas aap ke nazdik to ai hazrat-e-waiz
aayat hai baDi chiz riwayat hai baDi chiz
puri na agar ho to koi chiz nahin hai
nikle jo mere dil se to hasrat hai baDi chiz
ai 'nuh' na tum us ko hasinon mein ganwao
ye KHub samajh lo ki riyasat hai baDi chiz
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 141)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.