dariya ne kal jo chup ka libaada pahan liya
dariyā ne kal jo chup kā libāda pahan liyā
pyāsoñ ne apne jism pe sahrā pahan liyā
vo TaaT kī qabā thī ki kāġhaz kā pairahan
jaisā bhī mil gayā hameñ vaisā pahan liyā
fāqoñ se tang aa.e to poshāk bech dī
uryāñ hue to shab kā añdherā pahan liyā
garmī lagī to ḳhud se alag ho ke so ga.e
sardī lagī to ḳhud ko dobāra pahan liyā
bhauñchāl meñ kafan kī zarūrat nahīñ paḌī
har laash ne makān kā malba pahan liyā
'bedil' libās-e-zīst baḌā dīda-zeb thā
aur ham ne is libās ko ulTā pahan liyā
dariya ne kal jo chup ka libaada pahan liya
pyason ne apne jism pe sahra pahan liya
wo TaT ki qaba thi ki kaghaz ka pairahan
jaisa bhi mil gaya hamein waisa pahan liya
faqon se tang aae to poshak bech di
uryan hue to shab ka andhera pahan liya
garmi lagi to KHud se alag ho ke so gae
sardi lagi to KHud ko dobara pahan liya
bhaunchaal mein kafan ki zarurat nahin paDi
har lash ne makan ka malba pahan liya
'bedil' libas-e-zist baDa dida-zeb tha
aur hum ne is libas ko ulTa pahan liya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.