ye ruke ruke se aansu ye dabi dabi si aahen
ye ruke ruke se aañsū ye dabī dabī sī aaheñ
yūñhī kab talak ḳhudāyā ġham-e-zindagī nibāheñ
kahīñ zulmatoñ meñ ghir kar hai talāsh-e-dasht-e-rahbar
kahīñ jagmagā uThī haiñ mire naqsh-e-pā se rāheñ
tire ḳhānumāñ-ḳharāboñ kā chaman koī na sahrā
ye jahāñ bhī baiTh jaa.eñ vahīñ in kī bārgāheñ
kabhī jāda-e-talab se jo phirā huuñ dil-shikasta
tirī aarzū ne hañs kar vahīñ Daal dī haiñ bāñheñ
mire ahd meñ nahīñ hai ye nishān-e-sar-bulandī
ye rañge hue amāme ye jhukī jhukī kulāheñ
ye ruke ruke se aansu ye dabi dabi si aahen
yunhi kab talak KHudaya gham-e-zindagi nibahen
kahin zulmaton mein ghir kar hai talash-e-dasht-e-rahbar
kahin jagmaga uThi hain mere naqsh-e-pa se rahen
tere KHanuman-KHarabon ka chaman koi na sahra
ye jahan bhi baiTh jaen wahin in ki bargahen
kabhi jada-e-talab se jo phira hun dil-shikasta
teri aarzu ne hans kar wahin Dal di hain banhen
mere ahd mein nahin hai ye nishan-e-sar-bulandi
ye range hue amame ye jhuki jhuki kulahen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.