puchhoge to khul jaegi zaKHmon ki zaban aur
pūchhoge to khul jā.egī zaḳhmoñ kī zabāñ aur
purshish to guzartī hai ġham-e-dil pe girāñ aur
manzūr jalānā hai to ik baar jalā do
yuuñ dil ke sulagne se to uThtā hai dhuāñ aur
ḳhāmoshī ne rusvā.ī ke gul aur khilā.e
dafnāyā mohabbat ko to ubhre haiñ nishāñ aur
us jaisā zamāne meñ koī ek to hotā
us dar se uTheñ uTh ke magar jaa.eñ kahāñ aur
chūmegā tire paañv ko ḳhud markaz-e-ummīd
haañ raqs meñ aa raqs meñ aa umr-e-ravāñ aur
tā-umr sunā kījiye ab naġhma-e-ḳhāmosh
kahte na the nāzuk hai na chheḌo rag-e-jāñ aur
puchhoge to khul jaegi zaKHmon ki zaban aur
purshish to guzarti hai gham-e-dil pe giran aur
manzur jalana hai to ek bar jala do
yun dil ke sulagne se to uThta hai dhuan aur
KHamoshi ne ruswai ke gul aur khilae
dafnaya mohabbat ko to ubhre hain nishan aur
us jaisa zamane mein koi ek to hota
us dar se uThen uTh ke magar jaen kahan aur
chumega tere panw ko KHud markaz-e-ummid
han raqs mein aa raqs mein aa umr-e-rawan aur
ta-umr suna kijiye ab naghma-e-KHamosh
kahte na the nazuk hai na chheDo rag-e-jaan aur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.