dil pe jab dard ki uftad paDi hoti hai
dil pe jab dard kī uftād paḌī hotī hai
dosto vo to qayāmat kī ghaḌī hotī hai
jis taraf jaa.eñ jahāñ jaa.eñ bharī duniyā meñ
rāsta roke tirī yaad khaḌī hotī hai
jis ne mar mar ke guzārī ho ye us se pūchho
hijr kī raat bhalā kitnī kaḌī hotī hai
hañste hoñToñ se bhī jhaḌte haiñ fasāne ġham ke
ḳhushk āñkhoñ meñ bhī sāvan kī jhaḌī hotī hai
jab koī shaḳhs kahīñ zikr-e-vafā kartā hai
dil ko ai dosto taklīf baḌī hotī hai
is tarah baiThe haiñ vo aaj mirī mahfil meñ
jis tarah shīshe meñ tasvīr jaḌī hotī hai
dil pe jab dard ki uftad paDi hoti hai
dosto wo to qayamat ki ghaDi hoti hai
jis taraf jaen jahan jaen bhari duniya mein
rasta roke teri yaad khaDi hoti hai
jis ne mar mar ke guzari ho ye us se puchho
hijr ki raat bhala kitni kaDi hoti hai
hanste honTon se bhi jhaDte hain fasane gham ke
KHushk aankhon mein bhi sawan ki jhaDi hoti hai
jab koi shaKHs kahin zikr-e-wafa karta hai
dil ko ai dosto taklif baDi hoti hai
is tarah baiThe hain wo aaj meri mahfil mein
jis tarah shishe mein taswir jaDi hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.