dard ho dil meñ to davā kiije
aur jo dil hī na ho to kyā kiije
ġham meñ kuchh ġham kā mashġhalā kiije
dard kī dard se davā kiije
aap aur ahd-e-pur-vafā kiije
tauba tauba ḳhudā ḳhudā kiije
dekhtā huuñ jo hashr ke āsār
apne tevar mulāhiza kiije
nazar-e-iltifāt ban ga.ī maut
mirī qismat ko aap kyā kiije
dekhiye maqtazā-e-hāl-e-marīz
ab davā chhoḌiye davā kiije
chaar din kī hayāt meñ 'manzar'
kyuuñ kisī se bhī dil burā kiije
dard ho dil mein to dawa kije
aur jo dil hi na ho to kya kije
gham mein kuchh gham ka mashghala kije
dard ki dard se dawa kije
aap aur ahd-e-pur-wafa kije
tauba tauba KHuda KHuda kije
dekhta hun jo hashr ke aasar
apne tewar mulahiza kije
nazar-e-iltifat ban gai maut
meri qismat ko aap kya kije
dekhiye maqtaza-e-haal-e-mariz
ab dawa chhoDiye dawa kije
chaar din ki hayat mein 'manzar'
kyun kisi se bhi dil bura kije
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.