dard-e-dil mein kami na ho jae
dard-e-dil meñ kamī na ho jaa.e
dostī dushmanī na ho jaa.e
tum mirī dostī kā dam na bharo
āsmāñ mudda.ī na ho jaa.e
baiThtā hai hamesha rindoñ meñ
kahīñ zāhid valī na ho jaa.e
tāl-e-bad vahāñ bhī saath na de
maut bhī zindagī na ho jaa.e
apnī ḳhū-e-vafā se Dartā huuñ
āshiqī bandagī na ho jaa.e
kahīñ 'beḳhud' tumhārī ḳhuddārī
dushman-e-be-ḳhudī na ho jaa.e
dard-e-dil mein kami na ho jae
dosti dushmani na ho jae
tum meri dosti ka dam na bharo
aasman muddai na ho jae
baiThta hai hamesha rindon mein
kahin zahid wali na ho jae
tal-e-bad wahan bhi sath na de
maut bhi zindagi na ho jae
apni KHu-e-wafa se Darta hun
aashiqi bandagi na ho jae
kahin 'beKHud' tumhaari KHuddari
dushman-e-be-KHudi na ho jae
- Book : Nuquush Lahore (Pg. 299)
- Author : Mohd Tufail
- Publication : Idara Farog-e-urdu, Lahore (Feb.1956 )
- Edition : Feb.1956
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.