dard baDh kar dawa na ho jae
dard baḌh kar davā na ho jaa.e
zindagī be-mazā na ho jaa.e
in talavvun-mizājiyoñ kā shikār
koī mere sivā na ho jaa.e
lazzat-e-intizār hī na rahe
kahīñ vaada vafā na ho jaa.e
terī raftār ai ma.āz-allāh
hashr koī bapā na ho jaa.e
kāmyābī hī kāmyābī ho
to ye banda ḳhudā na ho jaa.e
merī betābiyoñ se ghabrā kar
koī mujh se ḳhafā na ho jaa.e
kuchh to andāza-e-jafā kījiye
dil sitam-āshnā na ho jaa.e
kahīñ nākāmi-e-asar āḳhir
mudda.ā-e-duā na ho jaa.e
vo nigāheñ na pher leñ 'aḳhtar'
ishq be-āsrā na ho jaa.e
dard baDh kar dawa na ho jae
zindagi be-maza na ho jae
in talawwun-mizajiyon ka shikar
koi mere siwa na ho jae
lazzat-e-intizar hi na rahe
kahin wada wafa na ho jae
teri raftar ai maaz-allah
hashr koi bapa na ho jae
kaamyabi hi kaamyabi ho
to ye banda KHuda na ho jae
meri betabiyon se ghabra kar
koi mujh se KHafa na ho jae
kuchh to andaza-e-jafa kijiye
dil sitam-ashna na ho jae
kahin nakaami-e-asar aaKHir
muddaa-e-dua na ho jae
wo nigahen na pher len 'aKHtar'
ishq be-asra na ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.