dar-KHur-e-qahr-o-ghazab jab koi hum sa na hua
dar-ḳhur-e-qahr-o-ġhazab jab koī ham sā na huā
phir ġhalat kyā hai ki ham sā koī paidā na huā
bandagī meñ bhī vo āzāda o ḳhud-bīñ haiñ ki ham
ulTe phir aa.e dar-e-ka.aba agar vā na huā
sab ko maqbūl hai da.avā tirī yaktā.ī kā
rū-ba-rū koī but-e-ā.ina-sīmā na huā
kam nahīñ nāzish-e-hamnāmi-e-chashm-e-ḳhūbāñ
terā bīmār burā kyā hai gar achchhā na huā
siine kā daaġh hai vo naala ki lab tak na gayā
ḳhaak kā rizq hai vo qatra ki dariyā na huā
naam kā mere hai jo dukh ki kisī ko na milā
kaam meñ mere hai jo fitna ki barpā na huā
har-bun-e-mū se dam-e-zikr na Tapke ḳhuuñ naab
hamza kā qissa huā ishq kā charchā na huā
qatra meñ dajla dikhā.ī na de aur juzv meñ kul
khel laḌkoñ kā huā dīda-e-bīnā na huā
thī ḳhabar garm ki 'ġhālib' ke uḌeñge purze
dekhne ham bhī ga.e the pa tamāshā na huā
dar-KHur-e-qahr-o-ghazab jab koi hum sa na hua
phir ghalat kya hai ki hum sa koi paida na hua
bandagi mein bhi wo aazada o KHud-bin hain ki hum
ulTe phir aae dar-e-kaba agar wa na hua
sab ko maqbul hai dawa teri yaktai ka
ru-ba-ru koi but-e-aina-sima na hua
kam nahin nazish-e-hamnami-e-chashm-e-KHuban
tera bimar bura kya hai gar achchha na hua
sine ka dagh hai wo nala ki lab tak na gaya
KHak ka rizq hai wo qatra ki dariya na hua
nam ka mere hai jo dukh ki kisi ko na mila
kaam mein mere hai jo fitna ki barpa na hua
har-bun-e-mu se dam-e-zikr na Tapke KHun nab
hamza ka qissa hua ishq ka charcha na hua
qatra mein dajla dikhai na de aur juzw mein kul
khel laDkon ka hua dida-e-bina na hua
thi KHabar garm ki 'ghaalib' ke uDenge purze
dekhne hum bhi gae the pa tamasha na hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.