Dar ke kisi se chhup jata hai jaise sanp KHazane mein
Dar ke kisī se chhup jaatā hai jaise saañp ḳhazāne meñ
zar ke zor se zinda haiñ sab ḳhaak ke is vīrāne meñ
jaise rasm adā karte hoñ shahroñ kī ābādī meñ
sub.h ko ghar se duur nikal kar shaam ko vāpas aane meñ
niile rang meñ Duubī āñkheñ khulī paḌī thiiñ sabze par
'aks paḌā thā āsmān kā shāyad is paimāne meñ
dabī huī hai zer-e-zamīñ ik dahshat gung sadāoñ kī
bijlī sī kahīñ laraz rahī hai kisī chhupe tah-ḳhāne meñ
dil kuchh aur bhī sard huā hai shām-e-shahr kī raunaq se
kitnī ziyā be-sūd ga.ī shīshe ke lafz jalāne meñ
maiñ to 'munīr' ā.īne meñ ḳhud ko tak kar hairān huā
ye chehra kuchh aur tarah thā pahle kisī zamāne meñ
Dar ke kisi se chhup jata hai jaise sanp KHazane mein
zar ke zor se zinda hain sab KHak ke is virane mein
jaise rasm ada karte hon shahron ki aabaadi mein
subh ko ghar se dur nikal kar sham ko wapas aane mein
nile rang mein Dubi aankhen khuli paDi thin sabze par
'aks paDa tha aasman ka shayad is paimane mein
dabi hui hai zer-e-zamin ek dahshat gung sadaon ki
bijli si kahin laraz rahi hai kisi chhupe tah-KHane mein
dil kuchh aur bhi sard hua hai sham-e-shahr ki raunaq se
kitni ziya be-sud gai shishe ke lafz jalane mein
main to 'munir' aaine mein KHud ko tak kar hairan hua
ye chehra kuchh aur tarah tha pahle kisi zamane mein
- Book : kulliyat-e-muniir niyaazii (Pg. 439)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.