tujh ruKH pe mujhe nur-e-ilahi nazar aaya
tujh ruḳh pe mujhe nūr-e-ilāhī nazar aaya
jo asl meñ hai so hī kamāhī nazar aaya
jab chashm kiyā terī taraf ahl-e-nazar ne
had-darja fuzūñ rutba-o-jāhī nazar aaya
tujh zulf-e-pareshāñ pe nazar jis kī paḌī hai
dil-jam.ī use na.iiñ vo tabāhī nazar aaya
mujh ishq kī saugand hai jab ishq ko kholā
kuchh aur na dekhā vo sipāhī nazar aaya
'arshad' mirā dildār kahīñ mujh se judā na.iiñ
har vaqt vo mujh dil meñ basā hī nazar aaya
tujh ruKH pe mujhe nur-e-ilahi nazar aaya
jo asl mein hai so hi kamahi nazar aaya
jab chashm kiya teri taraf ahl-e-nazar ne
had-darja fuzun rutba-o-jahi nazar aaya
tujh zulf-e-pareshan pe nazar jis ki paDi hai
dil-jami use nain wo tabahi nazar aaya
mujh ishq ki saugand hai jab ishq ko khola
kuchh aur na dekha wo sipahi nazar aaya
'arshad' mera dildar kahin mujh se juda nain
har waqt wo mujh dil mein basa hi nazar aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.