nain tere shikar karte hain
nain tere shikār karte haiñ
dil hamārā figār karte haiñ
ḳhūb-rū jab siñgār karte haiñ
aarsī par bahār karte haiñ
kisī bedād suuñ chaman meñ aaj
phuul saare pukār karte haiñ
ḳhush-nigāh aur bar meñ sabz libās
sarv kuuñ sharmsār karte haiñ
ahl-e-dil girya-e-nadāmat señ
sair abr-e-bahār karte haiñ
chashm-e-bad-dūr dil-barāñ saare
apne 'nāsir' kuuñ pyaar karte haiñ
nain tere shikar karte hain
dil hamara figar karte hain
KHub-ru jab singar karte hain
aarsi par bahaar karte hain
kisi bedad sun chaman mein aaj
phul sare pukar karte hain
KHush-nigah aur bar mein sabz libas
sarw kun sharmsar karte hain
ahl-e-dil girya-e-nadamat sen
sair abr-e-bahaar karte hain
chashm-e-bad-dur dil-baran sare
apne 'nasir' kun pyar karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.