mere man mane aaj u dhyan hai
mire man mane aaj uu dhyān hai
ki us mast ḳhūñ-rez kā dhyān hai
jadāñ te tirā zulf dekhyā huuñ maiñ
tadāñ te mirā man pareshān hai
huā bād-o-bārāñ mirā jiiv aaj
tire ishq kā dil meñ tūfān hai
tujhe jīvte meñ ziyāda mañgūñ
tire par mirā jiiv qurbān hai
diyā huuñ mohabbat mane jiiv maiñ
mohabbat mirā jiiv īmān hai
gunah kyā huā hai so ma.alūm na.iiñ
mujhe dekh ke aaj anjān hai
suraj tilmilātā hai khāne ugaal
jo dekhyā tire mukh mane paan hai
zamīñ par suraj koī dekhyā nahīñ
'ayāġhī' tujhe dekh hairān hai
mere man mane aaj u dhyan hai
ki us mast KHun-rez ka dhyan hai
jadan te tera zulf dekhya hun main
tadan te mera man pareshan hai
hua baad-o-baran mera jiw aaj
tere ishq ka dil mein tufan hai
tujhe jiwte mein ziyaada mangun
tere par mera jiw qurban hai
diya hun mohabbat mane jiw main
mohabbat mera jiw iman hai
gunah kya hua hai so malum nain
mujhe dekh ke aaj anjaan hai
suraj tilmilata hai khane ugal
jo dekhya tere mukh mane pan hai
zamin par suraj koi dekhya nahin
'ayaghi' tujhe dekh hairan hai
- Book : Ghazal Usne Chhedi (Part-1) (Pg. 37)
- Author : Farhat Ehsas
- Publication : Rekhta Books (2016)
- Edition : 2016
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.