Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kiya mujh ishq ne zalim kun aab aahista-ahista

Wali Mohammad Wali

kiya mujh ishq ne zalim kun aab aahista-ahista

Wali Mohammad Wali

MORE BYWali Mohammad Wali

    kiyā mujh ishq ne zālim kuuñ aab āhista-āhista

    ki ātish gul kuuñ kartī hai gulāb āhista-āhista

    vafādārī ne dilbar bujhāyā ātish-e-ġham kuuñ

    ki garmī dafa.a kartā hai gulāb āhista-āhista

    ajab kuchh lutf rakhtā hai shab-e-ḳhalvat meñ gul-rū suuñ

    ḳhitāb āhista-āhista javāb āhista-āhista

    mire dil kuuñ kiyā be-ḳhud tirī añkhiyāñ ne āḳhir kuuñ

    ki jyuuñ behosh kartī hai sharāb āhista-āhista

    huā tujh ishq suuñ ai ātishīñ-rū dil mirā paanī

    ki jyuuñ galtā hai ātish suuñ gulāb āhista-āhista

    adā-o-nāz suuñ aatā hai vo raushan-jabīñ ghar suuñ

    ki jyuuñ mashriq suuñ nikle āftāb āhista-āhista

    kiya mujh ishq ne zalim kun aab aahista-ahista

    ki aatish gul kun karti hai gulab aahista-ahista

    wafadari ne dilbar ki bujhaya aatish-e-gham kun

    ki garmi dafa karta hai gulab aahista-ahista

    ajab kuchh lutf rakhta hai shab-e-KHalwat mein gul-ru sun

    KHitab aahista-ahista jawab aahista-ahista

    mere dil kun kiya be-KHud teri ankhiyan ne aaKHir kun

    ki jyun behosh karti hai sharab aahista-ahista

    hua tujh ishq sun ai aatishin-ru dil mera pani

    ki jyun galta hai aatish sun gulab aahista-ahista

    ada-o-naz sun aata hai wo raushan-jabin ghar sun

    ki jyun mashriq sun nikle aaftab aahista-ahista

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now