junun ke hat ab main kya kahun dil saKHt hairan hai
junun ke hat ab main kya kahun dil saKHt hairan hai
Zaka Meer Aulad Mohammad Khan
MORE BYZaka Meer Aulad Mohammad Khan
junūñ ke haat ab maiñ kyā kahūñ dil saḳht hairāñ hai
garebāñ kar chukā huuñ nazr aage ab ye dāmāñ hai
tujhe vājib hai jaanā urs meñ apne shahīdoñ ke
sunā huuñ maiñ ki un kā aaj sandal kal charāġhāñ hai
rahā gar āstāñ par aa ke maiñ fart-e-aqīdat se
takalluf bartaraf sarkār kā kyā is meñ nuqsāñ hai
lage kyūñkar na dil kunj-e-qafas meñ andalīboñ kā
jahāñ meñ āj-kal ābād gar kuchh hai to zindāñ hai
nahīñ lāzim hai denā haath se sheva tarahhum kā
huī vaaq.e 'zakā' se kuchh agar taqsīr insāñ hai
junun ke hat ab main kya kahun dil saKHt hairan hai
gareban kar chuka hun nazr aage ab ye daman hai
tujhe wajib hai jaana urs mein apne shahidon ke
suna hun main ki un ka aaj sandal kal charaghan hai
raha gar aastan par aa ke main fart-e-aqidat se
takalluf bartaraf sarkar ka kya is mein nuqsan hai
lage kyunkar na dil kunj-e-qafas mein andalibon ka
jahan mein aaj-kal aabaad gar kuchh hai to zindan hai
nahin lazim hai dena hath se shewa tarahhum ka
hui waqe 'zaka' se kuchh agar taqsir insan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.