dair se kabe ko Darte hue hum jate hain
dair se ka.abe ko Darte hue ham jaate haiñ
dekh letā hai jo koī vahīñ tham jaate haiñ
aap ne ghar se nikālā hameñ ham jaate haiñ
phir na ā.eñge kabhī khā ke qasam jaate haiñ
be-ḳhatā sar mire qāsid kā qalam hotā hai
ġhair ko tohfe meñ ban ban ke qalam jaate haiñ
dil kā kyā haal kahūñ sub.h ko jab us but ne
le ke añgḌā.ī kahā naaz se ham jaate haiñ
hazrat-e-'dāġh' ye hai kūcha-e-qātil uThiye
jis jagah baiThte haiñ aap to jam jaate haiñ
dair se kabe ko Darte hue hum jate hain
dekh leta hai jo koi wahin tham jate hain
aap ne ghar se nikala hamein hum jate hain
phir na aaenge kabhi kha ke qasam jate hain
be-KHata sar mere qasid ka qalam hota hai
ghair ko tohfe mein ban ban ke qalam jate hain
dil ka kya haal kahun subh ko jab us but ne
le ke angDai kaha naz se hum jate hain
hazrat-e-'dagh' ye hai kucha-e-qatil uThiye
jis jagah baiThte hain aap to jam jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.