chup ke aalam mein wo taswir si surat uski
chup ke 'ālam meñ vo tasvīr sī sūrat us kī
boltī hai to badal jaatī hai rañgat us kī
sīḌhiyāñ chaḌhte achānak vo milī thī mujh ko
us kī āvāz meñ maujūd thī hairat us kī
haath chhū luuñ to laraz jaatī hai patte kī tarah
vahī nā-karda-gunāhī pe nadāmat us kī
kisī Thahrī huī sā'at kī tarah mohr-ba-lab
mujh se dekhī nahīñ jaatī ye aziyyat us kī
aañkh rakhte ho to us aañkh kī tahrīr paḌho
muñh se iqrār na karnā to hai 'ādat us kī
ḳhud vo āġhosh-e-kushāda hai jazīre kī tarah
phaile dariyāoñ kī mānind mohabbat us kī
raushnī ruuh kī aatī hai magar chhan chhan kar
sust-rau abr kā TukḌā hai tabī'at us kī
hai abhī lams kā ehsās mire hoñToñ par
sabt phailī huī huī bāhoñ pe harārat us kī
vo agar jā bhī chukī hai to na āñkheñ kholo
abhī mahsūs kiye jaao rifāqat us kī
dil dhaḌaktā hai to vo aañkh bulātī hai mujhe
saañs aatī hai to miltī hai bashārat us kī
vo kabhī aañkh bhī jhapke to laraz jaatā huuñ
mujh ko us se bhī ziyāda hai zarūrat us kī
vo kahīñ jaan na le ret kā Tiila huuñ maiñ
mere kāñdhoñ pe hai tā'mīr imārat us kī
be-talab jiinā bhī 'shahzād' talab hai us kī
zinda rahne kī tamannā bhī sharārat us kī
chup ke 'alam mein wo taswir si surat us ki
bolti hai to badal jati hai rangat us ki
siDhiyan chaDhte achanak wo mili thi mujh ko
us ki aawaz mein maujud thi hairat us ki
hath chhu lun to laraz jati hai patte ki tarah
wahi na-karda-gunahi pe nadamat us ki
kisi Thahri hui sa'at ki tarah mohr-ba-lab
mujh se dekhi nahin jati ye aziyyat us ki
aankh rakhte ho to us aankh ki tahrir paDho
munh se iqrar na karna to hai 'adat us ki
KHud wo aaghosh-e-kushada hai jazire ki tarah
phaile dariyaon ki manind mohabbat us ki
raushni ruh ki aati hai magar chhan chhan kar
sust-rau abr ka TukDa hai tabi'at us ki
hai abhi lams ka ehsas mere honTon par
sabt phaili hui hui bahon pe hararat us ki
wo agar ja bhi chuki hai to na aankhen kholo
abhi mahsus kiye jao rifaqat us ki
dil dhaDakta hai to wo aankh bulati hai mujhe
sans aati hai to milti hai bashaarat us ki
wo kabhi aankh bhi jhapke to laraz jata hun
mujh ko us se bhi ziyaada hai zarurat us ki
wo kahin jaan na le ret ka Tila hun main
mere kandhon pe hai ta'mir imarat us ki
be-talab jina bhi 'shahzad' talab hai us ki
zinda rahne ki tamanna bhi shararat us ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.