parai aag pe roTi nahin banaunga
Interesting Fact
Last sher refers to the eminent poet Sarvat Hussain who allegedly committed suicide by throwing himself in front of a running train.
parā.ī aag pe roTī nahīñ banā.ūñgā
maiñ bhiig jā.ūñgā chhatrī nahīñ banā.ūñgā
agar ḳhudā ne banāne kā iḳhtiyār diyā
alam banā.ūñgā barchhī nahīñ banā.ūñgā
fareb de ke tirā jism jiit luuñ lekin
maiñ peḌ kaaT ke kashtī nahīñ banā.ūñgā
galī se koī bhī guzre to chauñk uThtā huuñ
na.e makān meñ khiḌkī nahīñ banā.ūñgā
maiñ dushmanoñ se agar jañg jiit bhī jā.ūñ
to un kī aurteñ qaidī nahīñ banā.ūñgā
tumheñ patā to chale be-zabān chiiz kā dukh
maiñ ab charāġh kī lau hī nahīñ banā.ūñgā
maiñ ek film banā.ūñgā apne 'sarvat' par
aur is meñ rail kī paTrī nahīñ banā.ūñgā
parai aag pe roTi nahin banaunga
main bhig jaunga chhatri nahin banaunga
agar KHuda ne banane ka iKHtiyar diya
alam banaunga barchhi nahin banaunga
fareb de ke tera jism jit lun lekin
main peD kaT ke kashti nahin banaunga
gali se koi bhi guzre to chaunk uThta hun
nae makan mein khiDki nahin banaunga
main dushmanon se agar jang jit bhi jaun
to un ki aurten qaidi nahin banaunga
tumhein pata to chale be-zaban chiz ka dukh
main ab charagh ki lau hi nahin banaunga
main ek film banaunga apne 'sarwat' par
aur is mein rail ki paTri nahin banaunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.