charaghon ka gharana chal raha hai
charāġhoñ kā gharānā chal rahā hai
havā se dostāna chal rahā hai
javānī kī havā.eñ chal rahī haiñ
buzurgoñ kā ḳhazāna chal rahā hai
mirī gum-gashtagī par hañsne vaalo
mire pīchhe zamāna chal rahā hai
abhī ham zindagī se mil na paa.e
ta.āruf ġhā.ebāna chal rahā hai
na.e kirdār aate jā rahe haiñ
magar nāTak purānā chal rahā hai
vahī duniyā vahī sāñseñ vahī ham
vahī sab kuchh purānā chal rahā hai
ziyāda kyā tavaqqo.a ho ġhazal se
miyāñ bas āb-o-dāna chal rahā hai
samundar se kisī din phir mileñge
abhī pīnā-pilānā chal rahā hai
vahī mahshar vahī milne kā va.ada
vahī būḌhā bahānā chal rahā hai
yahāñ ik madrasa hotā thā pahle
magar ab kārḳhāna chal rahā hai
charaghon ka gharana chal raha hai
hawa se dostana chal raha hai
jawani ki hawaen chal rahi hain
buzurgon ka KHazana chal raha hai
meri gum-gashtagi par hansne walo
mere pichhe zamana chal raha hai
abhi hum zindagi se mil na pae
taaruf ghaebana chal raha hai
nae kirdar aate ja rahe hain
magar naTak purana chal raha hai
wahi duniya wahi sansen wahi hum
wahi sab kuchh purana chal raha hai
ziyaada kya tawaqqoa ho ghazal se
miyan bas aab-o-dana chal raha hai
samundar se kisi din phir milenge
abhi pina-pilana chal raha hai
wahi mahshar wahi milne ka wada
wahi buDha bahana chal raha hai
yahan ek madrasa hota tha pahle
magar ab karKHana chal raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.