Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

charagh usne bujha bhi diya jala bhi diya

Bashiruddin Ahmad Dehlvi

charagh usne bujha bhi diya jala bhi diya

Bashiruddin Ahmad Dehlvi

MORE BYBashiruddin Ahmad Dehlvi

    charāġh us ne bujhā bhī diyā jalā bhī diyā

    ye merī qabr pe manzar nayā dikhā bhī diyā

    ye chheḌ kyā hai ye kyā mujh se dil-lagī hai koī

    jagāyā niiñd se jaagā to phir sulā bhī diyā

    udhar thā lutf-o-karam un is taraf thā itaab

    charāġh umiid raushan kiyā bujhā bhī diyā

    ye shoḳhiyāñ na.ī dekhīñ tumhārī chitvan meñ

    ki parda ruḳh pe liyā aur phir uThā bhī diyā

    udhar lagāv idhar barhamī ke haiñ āsār

    mujhe phañsā bhī liyā aur phir chhuḌā bhī diyā

    nikal ga.e mirī āñkhoñ se saikaḌoñ aañsū

    ḳhazāna jam' kiyā aur phir luTā bhī diyā

    nayā hai husn ke bāzār utār-chaḌhāo

    chaḌhāyā sar pe nigāhoñ se phir girā bhī diyā

    zarā to pās-e-talab āshiqoñ tum karte

    bulāyā paas bhī phir paas se haTā bhī diyā

    ye un khel to dekho ki ek kāġhaz par

    likhā bhī naam mirā aur phir miTā bhī diyā

    agarche rāh-e-mohabbat hai tañg-o-tār magar

    isī ke saath hameñ 'aql diyā bhī diyā

    bashīr siiñg kaTā kar mile haiñ bachhḌoñ meñ

    bane javān buḌhāpe ġham bhulā bhī diyā

    charagh us ne bujha bhi diya jala bhi diya

    ye meri qabr pe manzar naya dikha bhi diya

    ye chheD kya hai ye kya mujh se dil-lagi hai koi

    jagaya nind se jaga to phir sula bhi diya

    udhar tha lutf-o-karam un ka is taraf tha itab

    charagh umid ka raushan kiya bujha bhi diya

    ye shoKHiyan nai dekhin tumhaari chitwan mein

    ki parda ruKH pe liya aur phir uTha bhi diya

    udhar lagaw idhar barhami ke hain aasar

    mujhe phansa bhi liya aur phir chhuDa bhi diya

    nikal gae meri aankhon se saikaDon aansu

    KHazana jam' kiya aur phir luTa bhi diya

    naya hai husn ke bazar ka utar-chaDhao

    chaDhaya sar pe nigahon se phir gira bhi diya

    zara to pas-e-talab aashiqon ka tum karte

    bulaya pas bhi phir pas se haTa bhi diya

    ye un ka khel to dekho ki ek kaghaz par

    likha bhi nam mera aur phir miTa bhi diya

    agarche rah-e-mohabbat hai tang-o-tar magar

    isi ke sath hamein 'aql ka diya bhi diya

    bashir sing kaTa kar mile hain bachhDon mein

    bane jawan buDhape ka gham bhula bhi diya

    Source :
    • Deewan-e-Basheer(website)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now