charagh duniya ke sare bujha ke chalta hun
charāġh duniyā ke saare bujhā ke chaltā huuñ
añdherī raat meñ ik dil jalā ke chaltā huuñ
dikhā.ī detā hai darvāza-e-fanā mujh ko
maiñ sab hijāb nazar se uThā ke chaltā huuñ
dikhā.ī dete haiñ saare ḳhazāne dhartī ke
maiñ saare sañg rahoñ ke haTā ke chaltā huuñ
alam meñ sar merā koī uThā.egā kyūñ-kar
maiñ ḳhvān-e-azm meñ sar ko sajā ke chaltā huuñ
mujhe pahuñchnā hai bas apne-āp kī had tak
maiñ apnī zaat ko manzil banā ke chaltā huuñ
charagh duniya ke sare bujha ke chalta hun
andheri raat mein ek dil jala ke chalta hun
dikhai deta hai darwaza-e-fana mujh ko
main sab hijab nazar se uTha ke chalta hun
dikhai dete hain sare KHazane dharti ke
main sare sang rahon ke haTa ke chalta hun
alam mein sar mera koi uThaega kyun-kar
main KHwan-e-azm mein sar ko saja ke chalta hun
mujhe pahunchna hai bas apne-ap ki had tak
main apni zat ko manzil bana ke chalta hun
- Book : Sanson Ke Paar (Pg. 220)
- Author : Khalil Mamoon
- Publication : Educational Publishing House, Delhi (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.