Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chamak rahi hai paron mein uDan ki KHushbu

Bashir Badr

chamak rahi hai paron mein uDan ki KHushbu

Bashir Badr

MORE BYBashir Badr

    chamak rahī hai paroñ meñ uḌaan ḳhushbū

    bulā rahī hai bahut āsmān ḳhushbū

    bhaTak rahī hai purānī dulā.iyāñ oḌhe

    haveliyoñ meñ mire ḳhāndān ḳhushbū

    sunā ke koī kahānī hameñ sulātī thī

    duāoñ jaisī baḌe pān-dān ḳhushbū

    dabā thā phuul koī mez-posh ke nīche

    garaj rahī thī bahut pechvān ḳhushbū

    ajab vaqār thā sūkhe sunahre bāloñ meñ

    udāsiyoñ chamak zard lawn ḳhushbū

    vo itr-dān lahja mire buzurgoñ

    rachī-basī huī urdu zabān ḳhushbū

    ġhazal shāḳh pe ik phuul khilne vaalā hai

    badan se aane lagī za.afrān ḳhushbū

    imāratoñ bulandī pe koī mausam kyā

    kahāñ se aa ga.ī kachche makān ḳhushbū

    guloñ pe likhtī huī lā-ilāha-illallāh

    pahāḌiyoñ se utartī azaan ḳhushbū

    chamak rahi hai paron mein uDan ki KHushbu

    bula rahi hai bahut aasman ki KHushbu

    bhaTak rahi hai purani dulaiyan oDhe

    haweliyon mein mere KHandan ki KHushbu

    suna ke koi kahani hamein sulati thi

    duaon jaisi baDe pan-dan ki KHushbu

    daba tha phul koi mez-posh ke niche

    garaj rahi thi bahut pechwan ki KHushbu

    ajab waqar tha sukhe sunahre baalon mein

    udasiyon ki chamak zard lawn ki KHushbu

    wo itr-dan sa lahja mere buzurgon ka

    rachi-basi hui urdu zaban ki KHushbu

    ghazal ki shaKH pe ek phul khilne wala hai

    badan se aane lagi zafran ki KHushbu

    imaraton ki bulandi pe koi mausam kya

    kahan se aa gai kachche makan ki KHushbu

    gulon pe likhti hui la-ilaha-illallah

    pahaDiyon se utarti azan ki KHushbu

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now