chale chalo jahan le jae walwala dil ka
chale chalo jahāñ le jaa.e valvala dil kā
dalīl-e-rāh-e-mohabbat hai faisla dil kā
havā-e-kūcha-e-qātil se bas nahīñ chaltā
kashāñ-kashāñ liye jaatā hai valvala dil kā
gila kise hai ki qātil ne nīm-jāñ chhoḌā
taḌap taḌap ke nikālūñgā hausla dil kā
ḳhudā bachā.e ki nāzuk hai un meñ ek se ek
tunak-mizājoñ se Thahrā mo.āmla dil kā
dikhā rahā hai ye donoñ jahāñ kī kaifiyat
karegā sāġhar-e-jam kyā muqābla dil kā
havā se vādi-e-vahshat meñ bāteñ karte ho
bhalā yahāñ koī suntā bhī hai gila dil kā
qayāmat aa.ī khulā rāz-e-ishq kā daftar
baḌā ġhazab huā phūTā hai aabla dil kā
kisī ke ho raho achchhī nahīñ ye āzādī
kisī kī zulf se lāzim hai silsila dil kā
pyāla ḳhālī uThā kar lagā liyā muñh se
ki 'yās' kuchh to nikal jaa.e hausla dil kā
chale chalo jahan le jae walwala dil ka
dalil-e-rah-e-mohabbat hai faisla dil ka
hawa-e-kucha-e-qatil se bas nahin chalta
kashan-kashan liye jata hai walwala dil ka
gila kise hai ki qatil ne nim-jaan chhoDa
taDap taDap ke nikalunga hausla dil ka
KHuda bachae ki nazuk hai un mein ek se ek
tunak-mizajon se Thahra moamla dil ka
dikha raha hai ye donon jahan ki kaifiyat
karega saghar-e-jam kya muqabla dil ka
hawa se wadi-e-wahshat mein baaten karte ho
bhala yahan koi sunta bhi hai gila dil ka
qayamat aai khula raaz-e-ishq ka daftar
baDa ghazab hua phuTa hai aabla dil ka
kisi ke ho raho achchhi nahin ye aazadi
kisi ki zulf se lazim hai silsila dil ka
pyala KHali uTha kar laga liya munh se
ki 'yas' kuchh to nikal jae hausla dil ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.