chandni raat mein shanon se Dhalakti chadar
chāñdnī raat meñ shānoñ se Dhalaktī chādar
jism hai yā koī shamshīr nikal aa.ī hai
muddatoñ ba.ad uThā.e the purāne kāġhaz
saath tere mirī tasvīr nikal aa.ī hai
kahkashāñ dekh ke aksar ye ḳhayāl aatā hai
terī pāzeb se zanjīr nikal aa.ī hai
sehn-e-gulshan meñ mahakte hue phūloñ kī qatār
tere ḳhat se koī tahrīr nikal aa.ī hai
chāñd kā ruup to rāñjhe kī nazar māñge hai
ren-Dolī se koī hiir nikal aa.ī hai
chandni raat mein shanon se Dhalakti chadar
jism hai ya koi shamshir nikal aai hai
muddaton baad uThae the purane kaghaz
sath tere meri taswir nikal aai hai
kahkashan dekh ke aksar ye KHayal aata hai
teri pazeb se zanjir nikal aai hai
sehn-e-gulshan mein mahakte hue phulon ki qatar
tere KHat se koi tahrir nikal aai hai
chand ka rup to ranjhe ki nazar mange hai
ren-Doli se koi hir nikal aai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.