chaak kar lo agar gireban hai
chaak kar lo agar girebāñ hai
dosto mausam-e-bahārāñ hai
dil hai pyāsā husain ke mānind
ye badan karbalā kā maidāñ hai
kitnā mushkil hai zindagī karnā
aur na socho to kitnā āsāñ hai
san chhihattar se mil lo jī bhar ke
jī liye kaise aql hairāñ hai
chaak kar lo agar gireban hai
dosto mausam-e-bahaaran hai
dil hai pyasa husain ke manind
ye badan karbala ka maidan hai
kitna mushkil hai zindagi karna
aur na socho to kitna aasan hai
san chhihattar se mil lo ji bhar ke
ji liye kaise aql hairan hai
- Book : Rat Idhar Udhar Roashan (Pg. 289)
- Author : mohammad alvii
- Publication : Urdu Sahitya Acade Gujrat (1995)
- Edition : 1995
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.