bujhte suraj ne liya phir ye sambhaala kaisa
bujhte sūraj ne liyā phir ye sambhālā kaisā
uḌtī chiḌiyoñ ke paroñ par hai ujālā kaisā
tum ne bhī dekhā ki mujh ko hī huā thā mahsūs
gird us ke ruḳh-e-raushan ke thā haalā kaisā
chhaT gayā jab mirī nazroñ se sitāroñ kā ġhubār
shauq-e-raftār ne phir paañv nikālā kaisā
kis ne sahrā meñ mire vāste rakkhī hai ye chhāñv
dhuup roke hai mirā chāhne vaalā kaisā
'zeb' maujoñ meñ lakīroñ kī vo ġham thā kab se
gardish-e-rañg ne paikar ko uchhālā kaisā
bujhte suraj ne liya phir ye sambhaala kaisa
uDti chiDiyon ke paron par hai ujala kaisa
tum ne bhi dekha ki mujh ko hi hua tha mahsus
gird us ke ruKH-e-raushan ke tha haala kaisa
chhaT gaya jab meri nazron se sitaron ka ghubar
shauq-e-raftar ne phir panw nikala kaisa
kis ne sahra mein mere waste rakkhi hai ye chhanw
dhup roke hai mera chahne wala kaisa
'zeb' maujon mein lakiron ki wo gham tha kab se
gardish-e-rang ne paikar ko uchhaala kaisa
- Book : zartaab (Pg. 63)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.