bujh gaya raat wo sitara bhi
bujh gayā raat vo sitārā bhī
haal achchhā nahīñ hamārā bhī
ye jo ham kho.e kho.e rahte haiñ
is meñ kuchh daḳhl hai tumhārā bhī
Dūbnā zaat ke samundar meñ
hai ye tūfān bhī kinārā bhī
ab mujhe niiñd hī nahīñ aatī
ḳhvāb hai ḳhvāb kā sahārā bhī
log jiite haiñ kis tarah 'ajmal'
ham se hotā nahīñ guzārā bhī
bujh gaya raat wo sitara bhi
haal achchha nahin hamara bhi
ye jo hum khoe khoe rahte hain
is mein kuchh daKHl hai tumhaara bhi
Dubna zat ke samundar mein
hai ye tufan bhi kinara bhi
ab mujhe nind hi nahin aati
KHwab hai KHwab ka sahaara bhi
log jite hain kis tarah 'ajmal'
hum se hota nahin guzara bhi
- Book : Sarsabz (Pg. 89)
- Author : Krishan Kumar Toor
- Publication : Sarsabz Dharamshala (April to September 2013)
- Edition : April to September 2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.