bujh gaya dil to KHabar kuchh bhi nahin
bujh gayā dil to ḳhabar kuchh bhī nahīñ
aks-e-ā.īne nazar kuchh bhī nahīñ
shab kī dīvār girī to dekhā
nok-e-nashtar hai sahar kuchh bhī nahīñ
jab bhī ehsās kā sūraj Duube
ḳhaak kā Dher bashar kuchh bhī nahīñ
ek pal aisā ki duniyā badle
yuuñ to sadiyoñ kā safar kuchh bhī nahīñ
harf ko barg-e-navā detā huuñ
yuuñ mire paas hunar kuchh bhī nahīñ
bujh gaya dil to KHabar kuchh bhi nahin
aks-e-aine nazar kuchh bhi nahin
shab ki diwar giri to dekha
nok-e-nashtar hai sahar kuchh bhi nahin
jab bhi ehsas ka suraj Dube
KHak ka Dher bashar kuchh bhi nahin
ek pal aisa ki duniya badle
yun to sadiyon ka safar kuchh bhi nahin
harf ko barg-e-nawa deta hun
yun mere pas hunar kuchh bhi nahin
- Book : Gil-e-Lajvard (Pg. 102)
- Author : Khaleel Tanveer
- Publication : Al-asr Publications, Ahmedabad (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.