bujh gaya dil hayat baqi hai
bujh gayā dil hayāt baaqī hai
chhup gayā chāñd raat baaqī hai
hāl-e-dil un se kah chuke sau baar
ab bhī kahne kī baat baaqī hai
ai ḳhushā ḳhatam-e-ijtināb magar
mahshar-e-iltifāt baaqī hai
ishq meñ ham samajh chuke sab se
ek zālim hayāt baaqī hai
nāsehān-e-karām ke dam se
shorish-e-kā.enāt baaqī hai
raat baaqī thī jab vo bichhḌe the
kaT ga.ī umr raat baaqī hai
rahmat-e-be-panāh ke sadqe
e'timād-e-najāt baaqī hai
na vo dil hai na vo shabāb 'ḳhumār'
kis liye ab hayāt baaqī hai
bujh gaya dil hayat baqi hai
chhup gaya chand raat baqi hai
haal-e-dil un se kah chuke sau bar
ab bhi kahne ki baat baqi hai
ai KHusha KHatam-e-ijtinab magar
mahshar-e-iltifat baqi hai
ishq mein hum samajh chuke sab se
ek zalim hayat baqi hai
nasehan-e-karam ke dam se
shorish-e-kaenat baqi hai
raat baqi thi jab wo bichhDe the
kaT gai umr raat baqi hai
rahmat-e-be-panah ke sadqe
e'timad-e-najat baqi hai
na wo dil hai na wo shabab 'KHumar'
kis liye ab hayat baqi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.