bichhaD gae the kisi rose khel khel mein hum
bichhaḌ ga.e the kisī roz khel khel meñ ham
ki ek saath nahīñ chaḌh sake the rail meñ ham
zarā sā shor-e-baġhāvat uThā aur us ke ba.ad
vazīr taḳht pe baiThe the aur jail meñ ham
pata chalā vo koī aam panting nahīñ hai
aur us ko bechne vaale the aaj sale meñ ham
jafā kī ek hī tiilī se kaam ho jaatā
ki puure bhīge hue the anā ke tel meñ ham
jo shar-pasand haiñ nafrat ke biij bote raheñ
juTe raheñge mohabbat kī dāġh-bel meñ ham
bas ek baar hamāre diloñ ke taar mile
phir us ke ba.ad nahīñ aa.e tāl-mel meñ ham
ye shā.irī to mirī jaañ bas ik bahāna hai
sharīk yuuñ bhī nahīñ hote khel-vel meñ ham
suḳhan kā tausan-e-chālāk be-lagām nahīñ
hameñ hai pās-e-rivāyat so haiñ nakel meñ ham
vahāñ hamāre qabīloñ meñ jañg chhiḌ ga.ī thī
so thar ke bhāge hue aa base the kel meñ ham
ye ek dukh to koī mas.ala nahīñ 'kāshir'
pale baḌe haiñ isī ġham kī rel-pel meñ ham
bichhaD gae the kisi roz khel khel mein hum
ki ek sath nahin chaDh sake the rail mein hum
zara sa shor-e-baghawat uTha aur us ke baad
wazir taKHt pe baiThe the aur jail mein hum
pata chala wo koi aam panting nahin hai
aur us ko bechne wale the aaj sale mein hum
jafa ki ek hi tili se kaam ho jata
ki pure bhige hue the ana ke tel mein hum
jo shar-pasand hain nafrat ke bij bote rahen
juTe rahenge mohabbat ki dagh-bel mein hum
bas ek bar hamare dilon ke tar mile
phir us ke baad nahin aae tal-mel mein hum
ye shairi to meri jaan bas ek bahana hai
sharik yun bhi nahin hote khel-wel mein hum
suKHan ka tausan-e-chaalak be-lagam nahin
hamein hai pas-e-riwayat so hain nakel mein hum
wahan hamare qabilon mein jang chhiD gai thi
so thar ke bhage hue aa base the kel mein hum
ye ek dukh to koi masala nahin 'kashir'
pale baDe hain isi gham ki rel-pel mein hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.