mujhse bichhaD ke KHush rahte ho
mujh se bichhaḌ ke ḳhush rahte ho
merī tarah tum bhī jhūTe ho
ik dīvār pe chāñd Tikā thā
maiñ ye samjhā tum baiThe ho
ujle ujle phuul khile the
bilkul jaise tum hañste ho
mujh ko shaam batā detī hai
tum kaise kapḌe pahne ho
dil kā haal paḌhā chehre se
sāhil se lahreñ ginte ho
tum tanhā duniyā se laḌoge
bachchoñ sī bāteñ karte ho
mujh se bichhaD ke KHush rahte ho
meri tarah tum bhi jhuTe ho
ek diwar pe chand Tika tha
main ye samjha tum baiThe ho
ujle ujle phul khile the
bilkul jaise tum hanste ho
mujh ko sham bata deti hai
tum kaise kapDe pahne ho
dil ka haal paDha chehre se
sahil se lahren ginte ho
tum tanha duniya se laDoge
bachchon si baaten karte ho
- Book : aamad (Pg. 94)
- Author : BASHIR BADAR
- Publication : M.R. PUBLICATION
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.