bewafa raste badalte hain
bevafā rāste badalte haiñ
ham-safar saath saath chalte haiñ
kis ke aañsū chhupe haiñ phūloñ meñ
chūmtā huuñ to hoñT jalte haiñ
us kī āñkhoñ ko ġhaur se dekho
mandiroñ meñ charāġh jalte haiñ
dil meñ rah kar nazar nahīñ aate
aise kāñTe kahāñ nikalte haiñ
ek dīvār vo bhī shīshe kī
do badan paas paas jalte haiñ
vo sitāre mire sitāre haiñ
jo bharī dhuup meñ nikalte haiñ
kāñch ke motiyoñ ke aañsū ke
sab khilaune ġhazal meñ Dhalte haiñ
bewafa raste badalte hain
ham-safar sath sath chalte hain
kis ke aansu chhupe hain phulon mein
chumta hun to honT jalte hain
us ki aankhon ko ghaur se dekho
mandiron mein charagh jalte hain
dil mein rah kar nazar nahin aate
aise kanTe kahan nikalte hain
ek diwar wo bhi shishe ki
do badan pas pas jalte hain
wo sitare mere sitare hain
jo bhari dhup mein nikalte hain
kanch ke motiyon ke aansu ke
sab khilaune ghazal mein Dhalte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.