be-talluq zindagi achchhi nahin
be-ta.alluq zindagī achchhī nahīñ
zindagī kyā maut bhī achchhī nahīñ
aaj bhī paayā hai un ko bad-mizāj
sūrat-e-hālāt abhī achchhī nahīñ
hasrat-e-dil dekh āñkhoñ meñ na baiTh
is qadar be-pardagī achchhī nahīñ
maiñ na kahtā thā dil-e-ḳhāna-ḳharāb
dilbaroñ se dil-lagī achchhī nahīñ
sair kiije husn ke bāzār kī
haañ magar āvārgī achchhī nahīñ
dil lagāo to lagāo dil se dil
dil-lagī hī dil-lagī achchhī nahīñ
ye havā ye abr ye sabza 'hafīz'
aaj piine meñ kamī achchhī nahīñ
be-talluq zindagi achchhi nahin
zindagi kya maut bhi achchhi nahin
aaj bhi paya hai un ko bad-mizaj
surat-e-haalat abhi achchhi nahin
hasrat-e-dil dekh aankhon mein na baiTh
is qadar be-pardagi achchhi nahin
main na kahta tha dil-e-KHana-KHarab
dilbaron se dil-lagi achchhi nahin
sair kije husn ke bazar ki
han magar aawargi achchhi nahin
dil lagao to lagao dil se dil
dil-lagi hi dil-lagi achchhi nahin
ye hawa ye abr ye sabza 'hafiz'
aaj pine mein kami achchhi nahin
- Book : Kulliyat-e-Hafeez Jalandhari (Pg. 196)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.