Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

be-tab hain aur ishq ka dawa nahin hum ko

Shahryar

be-tab hain aur ishq ka dawa nahin hum ko

Shahryar

MORE BYShahryar

    be-tāb haiñ aur ishq da.avā nahīñ ham ko

    āvāra haiñ aur dasht saudā nahīñ ham ko

    ġhairoñ mohabbat pe yaqīñ aane lagā hai

    yāroñ se agarche koī shikva nahīñ ham ko

    nairañgī-e-dil hai ki taġhāful karishma

    kyā baat hai jo terī tamannā nahīñ ham ko

    tere alāva bhī kisī shai talab hai

    apnī mohabbat pe bharosā nahīñ ham ko

    tum bhī mudāvā-e-alam kar nahīñ sakte

    chāragaro fikr-e-mudāvā nahīñ ham ko

    yuuñ barhamī-e-kākul-e-imroz se ḳhush haiñ

    jaise ki ḳhayāl-e-ruḳh-e-fardā nahīñ ham ko

    be-tab hain aur ishq ka dawa nahin hum ko

    aawara hain aur dasht ka sauda nahin hum ko

    ghairon ki mohabbat pe yaqin aane laga hai

    yaron se agarche koi shikwa nahin hum ko

    nairangi-e-dil hai ki taghaful ka karishma

    kya baat hai jo teri tamanna nahin hum ko

    ya tere alawa bhi kisi shai ki talab hai

    ya apni mohabbat pe bharosa nahin hum ko

    ya tum bhi mudawa-e-alam kar nahin sakte

    ya chaaragaro fikr-e-mudawa nahin hum ko

    yun barhami-e-kakul-e-imroz se KHush hain

    jaise ki KHayal-e-ruKH-e-farda nahin hum ko

    Source :
    • Book : sooraj ko nikalta dekhoon (Pg. 130)
    • Author : shaharyar
    • Publication : educational book house (2013)
    • Edition : 2013

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now