be-nam sa ye dard Thahar kyun nahin jata
be-nām sā ye dard Thahar kyuuñ nahīñ jaatā
jo biit gayā hai vo guzar kyuuñ nahīñ jaatā
sab kuchh to hai kyā DhūñDhtī rahtī haiñ nigāheñ
kyā baat hai maiñ vaqt pe ghar kyuuñ nahīñ jaatā
vo ek hī chehra to nahīñ saare jahāñ meñ
jo duur hai vo dil se utar kyuuñ nahīñ jaatā
maiñ apnī hī uljhī huī rāhoñ kā tamāsha
jaate haiñ jidhar sab maiñ udhar kyuuñ nahīñ jaatā
vo ḳhvāb jo barsoñ se na chehra na badan hai
vo ḳhvāb havāoñ meñ bikhar kyuuñ nahīñ jaatā
be-nam sa ye dard Thahar kyun nahin jata
jo bit gaya hai wo guzar kyun nahin jata
sab kuchh to hai kya DhunDhti rahti hain nigahen
kya baat hai main waqt pe ghar kyun nahin jata
wo ek hi chehra to nahin sare jahan mein
jo dur hai wo dil se utar kyun nahin jata
main apni hi uljhi hui rahon ka tamasha
jate hain jidhar sab main udhar kyun nahin jata
wo KHwab jo barson se na chehra na badan hai
wo KHwab hawaon mein bikhar kyun nahin jata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.