bastiyon mein ek sada-e-be-sada rah jaegi
bastiyoñ meñ ik sadā-e-be-sadā rah jā.egī
baam o dar pe naqsh tahrīr-e-havā rah jā.egī
āñsuoñ kā rizq hoñgī be-natīja chāhateñ
ḳhushk hoñToñ par laraztī ik du'ā rah jā.egī
rū-ba-rū manzar na hoñ to aa.ine kis kaam ke
ham nahīñ hoñge to duniyā gard-e-pā rah jā.egī
ḳhvāb ke nashshe meñ jhuktī jā.egī chashm-e-qamar
raat kī āñkhoñ meñ phailī iltijā rah jā.egī
be-samar peḌoñ ko chūmeñge sabā ke sabz lab
dekh lenā ye ḳhizāñ be-dast-o-pā rah jā.egī
bastiyon mein ek sada-e-be-sada rah jaegi
baam o dar pe naqsh tahrir-e-hawa rah jaegi
aansuon ka rizq hongi be-natija chahaten
KHushk honTon par larazti ek du'a rah jaegi
ru-ba-ru manzar na hon to aaine kis kaam ke
hum nahin honge to duniya gard-e-pa rah jaegi
KHwab ke nashshe mein jhukti jaegi chashm-e-qamar
raat ki aankhon mein phaili iltija rah jaegi
be-samar peDon ko chumenge saba ke sabz lab
dekh lena ye KHizan be-dast-o-pa rah jaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.