tu ne lagai ab ki ye kya aag ai basant
tū ne lagā.ī ab kī ye kyā aag ai basant
jis se ki dil kī aag uThe jaag ai basant
kaifiyyat-e-bahār ke tū us ko de ḳhabar
mauj-e-nasīm kī tarah uḌ laag ai basant
har shāḳh zard o surḳh o siyah hijr-e-yār meñ
Daste haiñ dil ko aan ke juuñ naag ai basant
muñh dekho āshiqoñ ke muqābil huuñ rañg meñ
bāñdhī hai mujh se kis liye tū laag ai basant
tujh meñ kahāñ ye būqalamūnī kahāñ ye sañg
dasht-o-jabal ko ḳhair se ab bhaag ai basant
juuñ tār-e-chañg chheḌ na 'inshā' ko baat meñ
terā sunā huā hai ye ghaTrāg ai basant
tu ne lagai ab ki ye kya aag ai basant
jis se ki dil ki aag uThe jag ai basant
kaifiyyat-e-bahaar ke tu us ko de KHabar
mauj-e-nasim ki tarah uD lag ai basant
har shaKH zard o surKH o siyah hijr-e-yar mein
Daste hain dil ko aan ke jun nag ai basant
munh dekho aashiqon ke muqabil hun rang mein
bandhi hai mujh se kis liye tu lag ai basant
tujh mein kahan ye buqalamuni kahan ye sang
dasht-o-jabal ko KHair se ab bhag ai basant
jun tar-e-chang chheD na 'insha' ko baat mein
tera suna hua hai ye ghaTrag ai basant
- Kulliyat-e-inshaallah khan insha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.