aaya basant phul bhi shoalon mein Dhal gae
aayā basant phuul bhī sho.aloñ meñ Dhal ga.e
maiñ chūmne lagā to mire hoñT jal ga.e
lapkā mire ḳhayāl kā kauñdā kuchh is tarah
chāroñ taraf jo lafz paḌe the pighal ga.e
rañgoñ ke ehtimām meñ sūrat bigaḌ ga.ī
lafzoñ kī dhan meñ haath se ma.anī nikal ga.e
jhoñke na.ī rutoñ ke jo guzre qarīb se
biite dinoñ kī dhuul mire muñh pe mal ga.e
sar par hamāre dhuup kī chādar sī tan ga.ī
ghar se chale to shahr ke manzar badal ga.e
aaya basant phul bhi shoalon mein Dhal gae
main chumne laga to mere honT jal gae
lapka mere KHayal ka kaunda kuchh is tarah
chaaron taraf jo lafz paDe the pighal gae
rangon ke ehtimam mein surat bigaD gai
lafzon ki dhan mein hath se mani nikal gae
jhonke nai ruton ke jo guzre qarib se
bite dinon ki dhul mere munh pe mal gae
sar par hamare dhup ki chadar si tan gai
ghar se chale to shahr ke manzar badal gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.