bas ek parda-e-ighmaz tha kafan us ka
bas ek parda-e-iġhmāz thā kafan us kā
lahūluhān paḌā thā barahna tan us kā
na ye zamīn huī us ke ḳhuun se gulnār
na āsmāñ se utārā gayā kafan us kā
ram-e-najāt bas ik jumbish-e-havā meñ thā
ki naqsh-e-āb ko Thahrā diyā badan us kā
lahakte sho.aloñ meñ go raakh ho chuke aurāq
havā chalī to damakne lagā suḳhan us kā
ghasīTte hue ḳhud ko phiroge 'zeb' kahāñ
chalo ki ḳhaak ko de aa.eñ ye badan us kā
bas ek parda-e-ighmaz tha kafan us ka
lahuluhan paDa tha barahna tan us ka
na ye zamin hui us ke KHun se gulnar
na aasman se utara gaya kafan us ka
ram-e-najat bas ek jumbish-e-hawa mein tha
ki naqsh-e-ab ko Thahra diya badan us ka
lahakte shoalon mein go rakh ho chuke auraq
hawa chali to damakne laga suKHan us ka
ghasiTte hue KHud ko phiroge 'zeb' kahan
chalo ki KHak ko de aaen ye badan us ka
- Book : Zard Zarkhez (Pg. 58)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.