barson hue tum kahin nahin ho
barsoñ hue tum kahīñ nahīñ ho
aaj aisā lagā yahīñ kahīñ ho
mahsūs huā ki baat kī hai
aur baat bhī vo jo dil-nashīñ ho
imkān huā ki vahm thā sab
iz.hār huā ki tum yaqīñ ho
andāza huā ki rah vahī hai
ummīd baḌhī ki tum vahīñ ho
ab tak mire naam se hai nisbat
ab tak mire shahr ke makīñ ho
barson hue tum kahin nahin ho
aaj aisa laga yahin kahin ho
mahsus hua ki baat ki hai
aur baat bhi wo jo dil-nashin ho
imkan hua ki wahm tha sab
izhaar hua ki tum yaqin ho
andaza hua ki rah wahi hai
ummid baDhi ki tum wahin ho
ab tak mere nam se hai nisbat
ab tak mere shahr ke makin ho
- Book : Sham ka Pahla Tara (Pg. 70)
- Author : ZEHRA NIGAAH
- Edition : 1980
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.