sukh jati hai meri chashm-e-rawan barish mein
suukh jaatī hai mirī chashm-e-ravāñ bārish meñ
āsmāñ hotā rahe ashk-e-fishāñ bārish meñ
saare sahrā.ī rihā.ī ke tamannā.ī na the
aa gayā le ke hameñ qais kahāñ bārish meñ
ghoñsle TuuT ga.e peḌ gire bāñdh gire
gaañv pe phir bhī javāñ nashsha-e-jāñ bārish meñ
terī sarsabz bahāroñ pe damakte qatre
lauh-e-mahfūz ke kuchh ramz-e-nihāñ bārish meñ
lab-e-ehsās kabhī tū kisī qābil ho jā
chuum le manzil-e-mub.ham ke nishāñ bārish meñ
hāñptī kāñptī mazbūt irādoñ vaalī
bench pe baiThī huī mahv-e-gumāñ bārish meñ
pahlī Tap Tap hī mire hosh uḌā detī hai
niiñd uḌtī hai aTak jaatī hai jaañ bārish meñ
aaj bhī Dartā huuñ bijlī ke kaḌāke se bahut
us ko qaabū meñ kiyā kartī thī maañ bārish meñ
mere kamre kā makīñ habs galā ghoñTtā hai
koī to ramz-e-aziyyat hai nihāñ bārish meñ
sukh jati hai meri chashm-e-rawan barish mein
aasman hota rahe ashk-e-fishan barish mein
sare sahrai rihai ke tamannai na the
aa gaya le ke hamein qais kahan barish mein
ghonsle TuT gae peD gire bandh gire
ganw pe phir bhi jawan nashsha-e-jaan barish mein
teri sarsabz bahaaron pe damakte qatre
lauh-e-mahfuz ke kuchh ramz-e-nihan barish mein
lab-e-ehsas kabhi tu kisi qabil ho ja
chum le manzil-e-mubham ke nishan barish mein
hanpti kanpti mazbut iradon wali
bench pe baiThi hui mahw-e-guman barish mein
pahli Tap Tap hi mere hosh uDa deti hai
nind uDti hai aTak jati hai jaan barish mein
aaj bhi Darta hun bijli ke kaDake se bahut
us ko qabu mein kiya karti thi man barish mein
mere kamre ka makin habs gala ghonTta hai
koi to ramz-e-aziyyat hai nihan barish mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.